How to eran money on online

Dosto Aaj ki duniya main paysa bahot hi jaruri hai aor kitna acha ho agar aap ghar baythe online paysa kama sake sayad aap me se kuch ke man me yah sawal a..raha hoga ki kya sach main online paysa kamaya ja..sakta hai ya..nahi dosto haa online paysa kamaya ja...sakta hai bas aapko sahi tarika pata hona chahiye agar aap online kam kar rahe hai aor aapko sahi tarika nahi pata hai to aap online paysa nahi kama sakte hai to main aaj aapko kuch tariko ke bare main batane ja..raha hun jisse aap sach mein online paysa kama sakte hai 

Aap ka talent kisme hai kyse pata kare 

Online paysa kamane ke liye sabse jaruri hai aap apne talent jane Agar aap apne talent ke bare main nahi jaan pa...rahe hai hai to aap apne dimak ko jada jor de kar socho ki aapko kya pasand hai aap dosto se bhi madat le sakte ho ki aap ko ye jada kadhin kaam nahi hai dosto to suru karte hai dosto 

Blogging start kar ke

Agar aap kisi bhi topic pe best ho ya phir aap us topic par jada jante hai to aap blog bana kar bahota hi sare paysa kama sakte hai aap ji haan dosto blog bana kar aap me se kai log ye nahi jante honge ki blog kya hota hai to dosto blog YouTube jaysa hai hai dosto blog se paysa kamne ke liye aapko free blog account bana hoga aor aapko roj aapko to bhi topic achi aati hai usme blog pe post karna hota hai bas agar aapka roj ache views mil rahe hai to aap WordPress pe apna premium blog banana hoga bas ek baar apka blog famos ho jata hai to fhir usme aap affiliate marketing apna product
 sel kar bahot sare paysa kama sakte hai 

YouTube channel create karke payse kayse kamay

YouTube ek free video upload karne ki Sarvis hai aap apne intaret ke anusar video bana kar dal sacte hai aor paysa kama sacte hai 

YouTube pe paysa kamne ke aapko sabse pahle aapko YouTube channel banana hota hai phir ache video bana kar dalne hote hai phir aap facebook yaa kisi bhi sosal site par apne video ke link dalne hote hai taki aap ke channel pe jada se jada log aayengeaor aap asani se paysa kama paynge 

YouTube se payse kamne ke top tarike 

Computer and fast connection for upload video 

Best video editor tools.. for edit videos

YouTube se paysa kamne ke top 2 tarike 

Youtube channel ko   Adsense. se canect kar ke 

Apne video main kisi video ke promotion kar ke 


YouTube channel se aap kitna paysa kama sakte hai 

Blogging ki tarah YouTube main bhi koi limit nahi hai aap jitna jada views milenge aap utna paysa kama paynge

Facebook se paysa kayse kamay

Facebook se paysa kamane ke liye sabse pahle aapko Facebook page banana parta hai facebook aapko free main fan page ka subidha deta hai aap jitna jada ho sake usme like badne ke kosis kijiye 

Facebook se aap 3 tariko se paysa kama sakte hai 


Facebook page par direct advertis dal kar


Facebook page par affiliate product prmote kar ke

Facebook page par promotion post sell karke

Affiliate marketing start kar ke 

Dosto aap se bahot se log affiliate marketing nahi jante honge dosto affiliate marketing wo hota jayse aap kisi bhi campny ka product bech kar usme apna kuch present nikil sakte hai aaj ki duniya amin bahota si campny affiliate marketing karti hai jayse Amazon.filipkard.snapdeal.jitne bhi bade bade campny hai sabhi hai aap apne product ka link facebook.instgram WhatsApp par product ka link dal sakte hai agar koi aapke diye hua link se saman kharidta hai aapko uska kuch present milta hai agar aap affiliate marketing kyse suru to jis bhi campny ke sath affiliate marketing laga dijiye bas aap phir usme jud sakte hai 

Digital marketing agency khol kar paysa kamay 


Digital Marketing yani online kisi chij ki marketing karna.agar aap digital marketing me expert hai aur aapko social engineering ka achchha knowledge hai to aap apni digital agency banakar paisa kama sakte hai



Aaj ke daur me har chhoti ya badi company ya sanstha apna prachar karne ke liye digital marketing ka jyada se jyada upyog karti hai.kyunki ek to ye dusri advertising tariko se bahut sasta hai.



Apne social site pe dekha hoga ki kai log rajnitik parties ka prachar karte hai.wo sab ye free me nahi kar rahe hote hai.wo sab kisi digital marketing agency se jude huye hote hai.unko is kaam ke liye bahot sara paisa milta hai.
Digital Marketing ki safalta ka sabse bada udaharan india pm modi ka digital campin tha.jisse 2014 bjp ko bahot badi jeet mili thi.uske liye takriban 20 se 30 crore tak kharch kiya gaya tha.
So agar aap me bhi kisi cheez ko viral karne ka hunar hai to aap bhi apne digital marketing agency banakar ese kai campin se bahut sara paisa kama sakte ho. 

Online/Offline Data Entry Karke



Online paisa kamaai ki duniya me sabse purana aur aasan tarika data entry karke paise kamana hai.is job me koi jyada faltu ki tension nahi palni padti bas apna kaam pura kai aur payment liya bat khatam.
Data Entry Jobs karne ke liye aapki typing speed bahut fast honi chahiye. agar nahi to aapko ya to improve karni padegi.kyunki is tarah ki job me aapko bahut sara data type karna padta hai aur wo bhi aapke diye gaye samay me.

Online Data entry ke kaam ke liye kai websites uplabdh hai.Jaise ki 

Aor fiver aor kuch site hai 

Apne agar online/offline data entry job ke liye online google pe ya kahi aur search kiya hoga to aapko bahot sari esi websites mili hogi jo is tarah ke jobs offer karti hai.
Agar koi website aapke is job ke pahele ko fees ya kisi tarah ke paise mangti hai to 99% wo company froud hai.Jisse kai log apna paisa gavate hai.kyunki is type ki company pehle paise lene ke baad ya to aapko kam kaam denge jisse aap apni fees ke bhi paisa wasool karne me kai mahine lag jayenge.
Ya phir ye companies aapko kaam to deti hai lekin payment ke time bahut sara pareshan karti hai.


So agar aap Data entry ka kaam karna chahte hai to company ke bare me puri jankari ikatha kar le.company scan hai ya real ye janne ke liye bas google pe us company ke naam ke piche scam ya customer reviews likhkar search karen.bas aapko pata chal jayega ki company real hai ya fake. 
To agar aap data entry ka job karna chahte hai to kabhi bhi pahle koi bhi fees na pay karen.aur freelancer company par data entry search karne se aapko bahot sare jobs free me mil jayegi.


Fiverr Se Paise Kamaye



Fiverr online paisa kamane ke liye ek uniq site hai.aapke pass agar koi uniq service hai to use aap fiverr pe post karke paise kama sakte ho.
Fiverr se paise kaise kamate hai use hum ek simple aur real exmple ke dwara samjenge.
Mera ek dost hai jisko youtube pe videos dekhne ka bahot saukh tha.lagbhag sara din youtube pe hi kuch na kuch search karta raheta tha.
ek din usne socha ki chalo youtube se paise kamate hai.usne uske bareme search kiya.to use ek best idea mil gaya.usne fivver website pe ek service dekhi jisme likha tha ki Get 50 Real Youtube Subscriber Just only $5.



usne turant apne mobile phone se 50 google acconts banaye.kyunki mobile se google account banana bahot fast hai.uske baad usne do din tak mahenat karke un accont me profile pictures aur bio set kiya.jisse uske acconts real lage.
Uske baad usne fiverr pe apna profile banaya aur do post ki ek to upar wali hi post aur dusri Get 50 High Quility Comment On Your Youtube Video Only Just $10.
Fiverr pe post dalne baad usko 2 hi din me 5 se 6 coustomer mil gaye jo apne youtube channel ko subscribe karvana aur videos pe comments pana chahte the.


Is tarah usne first month me $250 ki kamai ki.is tarah usne apne video dekhne ke saukh ke sath sath paise bhi kama liye.aur aaj bhi wo monthly $500 se $1000 tak sirf fiverr se kamata hai.
So agar aapke pass koi aisi uniq service hai to aap bhi paise bana sakte to.Jaise ki Get 1000 facebook like at just $10,Create Brand Logo Only Just $20.
Bus Fiverr register karke apna profile banaye aur service ko post karde



SEO Expert Banke Paise Kamaye


Aaj kal daily kai nai web sites aur blog banai jati hai.isliye seach engine me rank banana bahot hai kathin kaam hai.aap kisi bhi topic ya product ko seach karenge to aapko lakhon results dekhne ko milnege.
Unme apni site ko top rank pe lana bahot hi jatil aur mahenat ka kaam ban jata hai.kyunki seach engine ka algoram kaise kaam karta hai wo to sayad usko banane wala bhi nahi janta hoga.
To kaam ke liye Blog aur websites owner kisi seo expert ko hire karte hai. jisse unke product ko jaldi se achchi ranking mil jaye.
Seo ka Full Form Seach Engine Optimization.Seo Expert ka kaam kisi bhi website ya blog ko search engine me top ranking pe lana hota hai


Agar apke pass bhi seo ka kwolege hai to aap bhi seo expert banke apni service se paise kama sakte ho.
Duniya kai aise log hai jo suruat blogging se karte hai phir successfull banne ke baad apni service dena suru kar dete hai.agar aap blogging ki duniya ke bare kuch jante hai ho aapne Nail Patel ka naam to suna hi hoga.
Neil patel ne saruat blogging se ki thi aur usme successful banne ke baad wo aaj kai badi companies ko seo ki service dete hai.


Comments

  1. bhai mujhe link exchange karna hai jisse ki aapke aur mere blog ka da pa high ho jaye aap aap ready ho to conatct me 8810647607

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

AM और PM का मतलब क्या होता है पूरी जानकारी

Janiye intarnet kya hai kayse kaam karta hai